donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
RAQEEB
Guzregi phir bahaar isi raah se raqueeb!
sookhi hui zameen pe kuchh ghaas rehne de
Author : Kalim Akhtar

ZAMANA GARCHE MOKHALIF HAZAR APNA HAI,
DILE RAQEEB MEI'N PHIR BHI WAQAR APNA HAI.
Author : Md.Serajuddin Nezami

Sab raqeebao’n se hai na khush, par zanaan-e-Misar se, 
Hai Zuleikha khush, ke rnahw-e-maah-e-kinaa’n ho gayei’n.
Author : Mirza Ghalib

Is naqsh-e-pa ke sijde ne kya kya kiya zaleel,
 Mai’n koocha-e-raqeeb mei’n bhi sar ke bal gaya.
Author : Momin

Jama karte ho kyo’n raqeebon ko, 
Ik tamaasha hua, gila na hua.
Author : Mirza Ghalib

Ghair lei’n mahfil mei’n bose jaam ke, 
Hum rahe’n yoon tishna lab paighaam ke!
Author : Mirza Ghalib

Raqeeb-e-roo seah ka kaam kya hai koo-e-jaanaa_n mei_n,

isko, shaitaan hai, yeh jannat mei_n ghusa kyo_n hai.

Author : Rashk Fatehpuri

Hum bhi dushman tau nahin hai’n apne, 
Ghair ko tujh se mohabbat hi sahi.
Author : Mirza Ghalib

Suhbat mei’n ghair ki kahi’n pari na ho yeh khoo,
Dene laga hai bosa baghair ilteja kieye.
Author : Mirza Ghalib

Zikr us pariwash ka, aur phir bayaa’n apna,
Ban gaya raqeeb aakhir, tha jo raazdaa’n apna.
Author : Mirza Ghalib

Ghair hai moorad-e-inaait, haae!
Hum bhi tau turm se pyaar karte hai’n.
Author : Mir Taqi Mir

Tum jaano tumko ghair se jo rasm-e-rah ho,
 Mujhko bhi poochhte raho tau kya gunah ho. 
Author : Mirza Ghalib

Woh hazaar dushman-e-jaa’n sahi, mujhe ghair phir bhi
aziz hai,
Jise khaak-e-pa tiri choo gai, woh bura bhi ho tau bura
Nahi’n.
Author : Jigar

Saamne uske na kahte, magar ab kahte hai’n,
Lazzat-e-ishq gai, ghair ke mar jaane se.
Author : Unknown

Jaana para raqeeb ke dar par hazaar baar,
Ai, kash! jaanta na teri rahguzar ko mai’n.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on RAQEEB : 942