donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
SAQI
Shab-e-firaaq guzari hai humne barson baras
ai saaqi-e-gham-e-dil! aa, sharaab likhne aa
Author : Kalim Akhtar

aaj tanhaa’ii kisii hamdam-e-dairiiN kii tarah
karne aayii hai merii saaqii-garii shaam Dhale
muntazir baiThe haiN ham donoN ke maahtaab ubhre
aur teraa aks jhalakne lage har saaye tale
Author : Faiz Ahmad Faiz

Piyaase to yaha'n se ham nahi'n jaane ke,
Madhosh  kare  jo   shai  pilaa ai saaqi.
Author : Aslam Rahi,Pakistan

Nigah-e-saqi se paiham chalak rahi hai sharab,
pio ki pine-pilane ki rat ai hai, 
Wo aaj ae hai’n mahfil mai’n chandni , 
Ki roshni mai’n nahane ki raat ai hai.
Author : Faiz Ratlami

Saqi teri mahfil mai’n hum jam uchalenge,
Jab kabe mai’n jaye’nge zam_zam se naha le’nge.
Author : Fana Nizami Kanpuri

Masti bhi taqados bhi ek sath chale dono, 
Ik simt ho maiKhana ik simt shiwala ho, 
Masjid ki taraf se too jana na kabhi saqi, 
Zahid bhi kabhi tera na chahnewala ho .
Author : Dalip Tahir

May pilakar apka kya jayega ,
Jayega iman jiska jayega ,
Dekhakar mujhko wo sharma jayega, 
Ye tamasha kisse dekha jayega .
Author : Bekhud Dehlvi

Na kah saqi bahar aane ke din hai’n ,
Jigar ke dagh chil jane ke din hai’n .
Author : Bekhud Dehlvi

abhi raat kuch hai baqi na utha naqaab saqi, 
tera rind girate girate kahi phir sambhal na jaye, 
meri zindagi ke malik mere dil pe hath rakhana, 
tere aane ki Khushi mei'n mera dam nikal na jaye. 
Author : Anwer Mirzapuri

Tere dar Pe woh aa hi Jaate hai’n ,
jin ko peene ki aas ho saaqi ,
aaj itni pila de aankho’n se ,
Khatm rindo’n ki pyas ho saaqi.
Author : Abdul Hamid Aadam

Maikasho! mai ki kami beshi pe nahaq josh hai,
Yeh tan saqi janta hai kisko kitna hosh hai.
Author : Natiq Lucknawi

Mai bhi hai, meena bhi hai, saghar bhi hai, saqi nahi’n,
Ji mei’n aata hai laga de’n aag maikhane ko hum.
Author : Nazir Akberabadi

Roeb kuchh saqi ka aisa chha gaya, 
Meri tauba ko paseena aa gaya.
Author : Qais Jullundhry

Sharaab-e-kuhan phir pila saqia,
Wohi jaam gardish mei’n la saaqia.
Author : Allama Iqbal

Ab der na kar dhaal pila de saqi,
Sheesha me’n jo hai mal pila de saqi.
Author : Kalim Aajiz

Bata phir aaj kyo’n taaro’n ki gardish tez hai saaqi
Pila saaqi ke mausam walwala angez hai saaqi
Author : Kalim Aajiz

Dekhte hi maikade mei’n, maikasho, saqi baghair,
Kis ghazab ki be-kasi paida hai shakal-e-jaam se!
Author : Shad Azeemabadi

Nasha pila ke girana tau sabko aata hai,
Maza tau tab hai ke girto’n ko tharn le, saqi.
Author : Allama Iqbal

Mujh tak kab unki bazm mei’n aata tha daur-e-jaam,
Saqi ne kuchh mila na diya ho sharaab mei’n.
Author : Mirza Ghalib

Saqi gari ki sharam karo, aaj, warna hum,
Har shab pia hi karte hai’n mai jis qadar mile.
Author : Mirza Ghalib

Saqi ba-jalwa dushman-e-imaan-o-aagahi,
 Mutrib bà-naghma rahzan-e-tamkeen-e-hosh hai.
Author : Mirza Ghalib

Mai parastaan, khum-e-mai munh se lagaaey hi bane,
Ek din gar na hua bazm mei’n saqi na sahi.
Author : Mirza Ghalib

Kaisa hai yeh maikade ka manzar saaqi
Kyo’n aaya hai waizo’n ka lashker saaqi
Hairat hai ke barsaat mei’n teri hote
Shesho’n pe baras rahe hai’n pathar saaqi
Author : Perwez Shahidi

Tire sheeshe mei’n mai baqi nahi’n hai,
Bata kya tu mira saqi nahi’n hai?
Samundar se pyaase ko mile shabnam,
Bukhaili hai yeh, razzaaqi nahin hai.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on SAQI : 1795