donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
SHAAIRY
	Hosh-o-hawaas, taab-o-tawaan, fikr-e-shaairy
	sab kuchh lutaa diya hai, tere intezaar mein
Author : Kalim Akhtar

Talaa-shai   Zindagi  karne  lago gay,
Mu-sal-sal  roshani  karne  lago  gay,
Tumhe-n bhi jab masaa-el ghair  le-n gay,
To tum bhi  shaa-aiyree karne  lago gay.
Author : Aslam Rahi

Batao,mojon mein baiqarari si kis lye hai?
Batool,lagta hai,phir samandar mein jaal aya
Batao,logon ne sari halat jo bhanp lee tou?
Batool.dil se tamam khadshay nikaal aya
Batao,honton pe bat aa kar palat gai kyn?
Batool,sochon mein gungunata sawal aaya
Batao,dil ko khayal ne, kis tarah se chooma?
Batool,us k labon ko jis pal kamal aaya
Author : Fakhira Batool

Aate ham ghaib se yeh mazameen khayaal mei’n,
Ghalib sareer-e-khama nawa-e-sarosh hai.
Author : Mirza Ghalib

Nahi’n mumkin ke kilk-e-fikar likhe shair sab achhe,
Barasta hai bahut neesaan, guhar hote hai’n kam paida.
Author : Nasikh

Kabhi pichhli pahr ko dekh le kisi saans lete chiragh ko,
Jo ghazal hui tau shaoor mei’n wohi khastgi hai, wohi
thakaan.
Author : Firaq Gorakhpuri

Dekhna taqreer ki lazzat ke jo usne kaha,
Mai’n ne yeh jaana ke goya yeh bhi mere dil mei’n hai. 
Author : Mirza Ghalib

Duniya ne tajurbaat-o-hawaadis ki shakl mei’n,
Jo kuchh mujhe diya hai, lauta raha hoo’n mai’n.
Author : Sahir

Na hua, par na hua Mir ka andaaz naseeb,
Zauq, yaaro’n ne bahut zor ghazal mei’n maara.
Author : zauq

Naqsh-o-nigar-e-ghazal mei’n jo tum ye/i shadaabi paao ho,
Hum ashko’n mei’n kaaenaat ke nok-e-qalam dabo le hai’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Firaq, ai kaash, sun-ne waalo’n ke seeno’n mei’n dil hota,
Haqeeqat hoti hai ashaar mei’n, baaten nahi’n hoti’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Hum parwarish-e-loh-o-qalam karte rahenge,
Jo dil pe guzarti hai raqam karte râhenge.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Sun kar mira afsana-e-ghum us ne yeh kaha,
Ho jaae jhoot sach, yehi khoobi bayaa’n ki hai.
Author : Dagh

Asghar nishaat-e-rooh ka ik khil gaya chaman,
Jumbish hui jo khama-e-rangee’n nigaar ko.
Author : Asgher Gondvi

Kya jaanu’n dil ko kheinche hai’n kyon shair Mir ke,
Kuchh tarz aisi bhi nahi’n, aihaam bhi nahi’n.
Author : Mir Taqi Mir

Shaairy kya hai? dili jazbaat ka izhaar hai,
Dil agar bekaar hai tau shaairy bekaar hai.
Author : Safi Lucknawi

Wohi rahjaate hai’n zabaan par,
Shair jo intekhaab hote hai’n.
Author : Ameer Minai

Shair dar asl hai’n wohi, Hasrat,
Sunte hi dil mei’n jo utar jaaei’n.
Author : Hasrat

Rangeen bahaana hai faqt nazm-o-ghazal ka, 
Maqsood haqeeqat ki yahaa’n parda dari hai.
Author : Wajd

Yehi shaer hai’n meri saltanat, isi fun mei’n hai mujhe afeeat, 
Mire kaasa-e-shab-o-roz mei’n tire kaam ki koi shai nahi’n.
Author : Nasir Kazmi

Manzoor hai guzaarish-e-ahwaal waaqaee, 
Apna bayaan husn-e-tabiat nahi’n mujhe.
Author : Mirza Ghalib

Bandish-e-ilfaaz jar ne se nago’n ke kam nahi’n, 
Shaairy bhi kaam hai, Aatish, murassa saaz ka.
Author : Aatish

Jalwa hai mujhi se lab-e-darya-e-sakhun par, 
Sad rang miri mauj hai, mai’n taba-e-rawaa’n hoo’n.
Author : Mir Taqi Mir

Khulta kyo’n kisi par mere dil ka muaamla, 
Shairo’n ke intekhaab ne ruswa kiya mujhe.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on SHAAIRY : 1514