Hai yeh farhat bakhsh manzar deeda o dil ke liye
Khoobsoorat jheel ke pahlu meiN dilkash kohsaar
|
Author : Ahmad Ali Barqi Azmi |
|
Wo aag aag thee, kabhi shabnam nahin bani
‘Akhtar’ magar yeh aag “shajarti” hui mili
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Kalee udaas hai, kyon phool sookh jaata hai
hawa ki qatra-e-shabnam ise jalata hai
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Shabnam, sharar, ki barq thee tere badan ki aag
kis kis libaas mein thee sajan! raat, tan ki aag
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Yeh ashk ashk jo shabnam dekhaai deta hai,
Tumhe to deedavaro'n kam dekhaai detaa hai. |
Author : Professor Iqbal Azeem |
|
Mujhe Raaz o niaze shabnam o gul yaad aata hai,
Ke mei'n rota hu'n ju'n ju'n aap khanda'n hote jaate hai'n.
|
Author : Yaas Bihari |
|
Chaman mei’n kaun hai pursaan-e-haal shabnam ka,
Gharib roi tau ghuncho’n ko bhi ha’nsi aai.
|
Author : Arsh Malsiani |
|
Masnad-e-gul manzil-e-shabnam hui,
Dekh rutba deeda-e-bedaar ka.
|
Author : Wali Deccani |
|
Kahi’n eesaar-e-ghum jaata hai zaayaa,
Chaman shadaab hai, shabnam nahi’n hai.
|
Author : Jigar Muradabadi |
|
Phir garm-e-niwaazish hai zau mehr-e-darakhshaa’n ki,
Phir qatra-e-shabnam mei’n hangama-e-toofaa’n hai.
|
Author : Asgher Gondvi |
|
Haasil hai kya siwaaey taraai ke dahar mei’n,
Uth aasmaa’n tale se, ke shabnam bahut hai yaa’n.
|
Author : Mir Taqi Mir |
|
Ai Dard jiski aa’nkh khuli is jahaa’n mei’n,
Shabnam ki tarah jaan ko apni woh ro gaya.
|
Author : Dard Dehlavi |
|
‘Purtaw-e-khur se hai shabnam ko fana ki taaleem,
Mai’n bhii hoo’n ik inaait ki nazar hone tak.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Taare. sharar-e-aah ham insaa’n ki zabaa’n mei’n,
Mai’n girya-e-gardoo’n hoo’n, gulistaa’n ki zabaa’n mei’n
|
Author : Allama Iqbal |
|
Chaman mei’n subah yeh kahti thii ho kar chashm-e-tar shabnam,
Bahaar-e-bagh tau yoo’nhi rahi, lekin kidhar shabnam
|
Author : Dard Dehlavi |
|
Na samjha Dard hum ne bhed yaa’n ki saadi-o-ghum ka,
Sahar khandaan hai kyo’n, roti hai kisko, yaad kar shabnam.
|
Author : Dard Dehlavi |
|
Bood-e-adam namood-e-shabnam hai,
Ek do dam mei’n phir hawa hai yeh.
|
Author : Mir Taqi Mir |
|
Khud apne husn ka jalwa tha dekhna manzoor,
Utar ke qatra-e-shabnam mei’n aaftaab aaya.
|
Author : Maikash Kashmiri |
|
Aaj hum ne yeh kya naira’ngi-e-aalam dekhi,
Unke chehre se ayaa’n kaifeeat-e-ghum dekhi,
|
Author : unknown |
|
Aarzon pe dhalakte hue aa’nsoo, tauba!
Hum ne sholo’n pe machalti hui shabnam dekhi.
|
Author : Josh Malihabadi |
|