donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
TASAWWUF

Khoye, toh koee rang nahi_n rang-e-yaar saa,

Samjhe,toh raayegaa_n chaman-aaraee jaati hai.

Author : Shahid Jameel

Kya dard-e-hijar, aur kya yeh lazzat-e-wisaal,

Is se bhi kuchh buland mili hai nazar mujhe.

Author : Asgher Gondvi

Phir mai_n nazar aaya, na tamaasha nazar aaya,

Jab tu nazar aaya, mujhe tanha nazar aaya.

Author : Asgher Gondvi

Niaaz-e-ishq ko samjha hai kya, ai waaiz-e-naadaa_n,

Hazaaro_n ban gaye Kaabe, jahaa_n mai_n ne jabee_n rakh di.

Author : Asgher Gondvi

Maana hareem-e-naaz ka paaya buland hai,

Le jaaega uchhaal ke dard-e-jigar mujhe.

Author : Asgher Gondvi

Lala-o -gul tum nahi_n ho, maah-o-anjum tum nahi_n,

Rang-e-mehfii ban ke lekin kaun is mehfil mei_n hai.

Author : Asgher Gondvi

Kuchh nazar aata nahi_n uske tasawwur ke siwa,

Hasrat-e-deedaar ne aankho_n ko andha kar diya.

Author : Aatish

Qulzam-e-ishq mei_n tinke ka sahaara bhi na dhoond,

Aasra woh nahi_n rakhte jo khuda rakhte hai_n.

Author : Aatish

Masnad-e-shahi ki hasrat hum faqeero_n ko nahi_n,

Farsh hai ghar mei_n hamaare chaadar-e-mahtaab ka.

Author : Aatish

Sheikh Kaaba ho ke pahuncha, hum kanisht-e-dil mei_n ho,

Dard rnanzil ek thi, tuk raah hi ka pher tha.

Author : Dard Dehlvi

Hum muwahadd hai_n, hamaara kesh hai tarh-e-rasoom,

Milatte_n jab mit gaiei_n, ijzaa-e-eemaan ho gaiei_n.

Author : Aatish

Do neimatei_n hai_n meri, mai_n hoo_n faqir-e-mast,

Ik naan-e-khushk, ek pyaala sharaab ka.

Author : Aatish

Faqeeri jis ne ki goya ke us ne baadshaahi ki,

Jise zill-e-huma kahte hai_n, darvesho_n ka kambal hai.

Author : Aatish

Jism-e-khaaki ke tale jism-e-misaali bhi hai,

Ek qaba aur bhi hum zer-e-qaba rakhte hai_n.

Author : Aatish

Baawar nahi_n abhi tujhe, ghaafil, pe anqareeb,

Maaloom hovega ke yeh aalam fasaana tha.

Author : Dard

Haq dhoondne ka apko aata nahi_n warna,

Aalam hai sabhi yaar, kahaa_n yaar na paaya.

Author : Mir Taqi Mir

Sarsari turn jahaa_n se guzre,

Warna har ja jahaa_n-e-deegar tha.

Author : Mir Taqi Mir

Waaey naadaani ke waqt-e-marg yeh saabit hua,

Khwab tha jo kuchh bhi dekha, jo suna afsana tha.

Author : Dard Dehlvi

Madarsa ya dair tha, ya kaaba ya but khana tha,

Hum sabhi mehmaa_n the, ik tu hi saahib-e-khana tha.

Author : Dard Dehlvi

Mir us be nishaa_n ko paaya jaan,

Kuchh hamaara agar suraagh laga.

Author : Mir Taqi Mir

Apni hi sair kar ne hum jalwagar hue the,

Is ramz ko wa lekin maadood jaante hai_n.

Author : Mir Taqi Mir

Arz-o-sama kahaa’n teri wus_at ko pa sake,

Mera hi dil hai woh ke jahaa_n tu sama sake.

Author : Dard Dehlvi

Hum aap hi ko apna maqsood jaante hai,

Apne siwaaey kisko maujood jaante hai_n.

Author : Mir Taqi Mir

Mit jaae_n ek aan mei_n kasrat numaaiaa_n,

Hum aaeene ke saamne aakar jo hoo kare_n.

Author : Dard Dehlvi

Zer-e-niqaab hai bhi koi husn-e-dilfareb,

Ya yoo_nhi ik fareb hai rang-e-niqaab ka.

Author : Asar Sehbai

Allah re un ke jalwe ki hairat fizaaiaa_n,

Yeh haal hai ke kuchh nahi_n aata nazar mujhe.

Author : Asgher Gondvi

Husn-e-gul ban ke kabhi, naghma-e-rangee_n ban ke,

Dhoond leta hai tera husn-e-khud-aara mujh ko.

Author : Asgher Gondvi

Har ek qatre mei_n darya-e-maarfat hai rawaa_n,

Magar naseeb ho kyo_nkar ke pyaas hi kam hai.

Author : Jigar Muradabadi

Sargarm-e-tajaili ho ai, jalwa-e-jaanaanaan,

Ur jaae dhooaa_n ban kar, Kaaba ho ke but khaana.

Author : Asgher Gondvi

But khaana khod daalieye, masjid ko dhaaieye,

Dil ko na toriey, yeh Khuda ka muqaam hai.

Author : Aatish

Ik qatra-e-shabnam par khursheed hai aks aara,

Yeh naisti-o-hasti, afsana hai afsana.

Author : Asgher Gondvi

Kaaba se dair, dair se kaaba ko ja chuke,

Kya kya na is dauraahe mei_n hum pher kha chuke.

Author : Aatish

 
Total Visit on TASAWWUF : 3914