donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
UMEED

 

بس اقتدار کا نشہّ لیے، خمار لیے
زبان جس کی کٹاری ہے تیز دھار لیے
فضول خرچی کے جس نے رِکارڈ توڑ دیے
وہ اُڑتا پھرتا ہے، وعدوں کی اک پُھوار لیے

عزیز بلگامی

Author : Azeez Belgaumi

Bichhi rah-gayee  sabza-sabza  umeed,
Wo ha'nste-huye 'car'per chadh-gayee.
                       
Author : Mozaffar Hanfi

Kabhi-toh saari shikasto'n-ka
yu'n sila mil jaaye,
Haran-ki khoj mei'n bhatku'n,
Shakuntala mil jaaye.
Author : Najib Raamish

Ek puraane hujre-ke,
Adh-khule kiwaado'n-se,
Jhaa'nkti hai ek ladki!
Author : Mohammad Alvi

Mausam-e-dard mei'n har-ped  bikhar jaata hai,
Ek ummeed-ki wo shaakh  hari rahti hai.
Author : Shahid Jameel

Rahi na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhi, 
Tau kis umeed pe kahieye, ke aarzoo kya hai.
Author : Mirza Ghalib

Kahte hai’n jeete hai’n umeed pe log,
Hum ko jeene ki bhi umeed nahi’n.
Author : Mirza Ghalib

Phala phoola rahe, yaarab, chaman meri umeedo’n ka
Jigar ka khoon de de kar yeh boote mai’n ne paale hai’n.
Author : Allama Iqbal

Koi umeed bar nahi’n aati,
Koi soorat nazar nahi’n aati.
Author : Mirza Ghalib

Umeed-o-na umeedi ka baham hona wohi jaane, 
Ke jis ne kishtio’n ko doobte dekha ho saahil se.
Author : Saqab Lucknavi

Bas ab tau daaman-e-dil chhoor do bekaar umeedo,
Bahut sukh sah liye mai’n ne, bahut din ji liya mai’n ne.
Author : Sahir Ludhianwi

Haae woh! jis ki umeedei’n ho’n khizaa’n par mauqoof,                      Shaakh-e-gul sookh ke gir jaae tau kashaana bane.
Author : Afsar Meruti

Dil-e-maayoos mei’n hai naqsh-e-umeed, 
Ya musafir koi ghareeb-e-dayaar.
Author : Hasrat Mohani

Tark-e-umeed bas ki baat nahi’n, 
Warna umeed kab bar aati hai.
Author : Fani

Woh umeed kya jis ki ho intehaa,
Woh waada nahi’n Jo wafa ho gaya.
Author : Fani

Rahi na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhi, 
Tau kis umeed pe kahieye, ke aarzoo kya hai.
Author : Mirza Ghalib

Lo, aaj hum ne tor diya nishta-e-umeed,
Lo ab kabhi gila na kare’nge kisi se hum.
Author : Sahir Ludhianwi

Kahte hai’n jeete hai’n umeed pe log,
Hum ko jeene ki bhi umeed nahi’n.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on UMEED : 854