donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
WAAIZ

Tujh ko masjid hai, mujh ko maikhana,

Waaiz apni, apni qismat hai.

Author : Mir Taqi Mir

Ulat kar rind bhi kuchh kah na dei_n, waaiz na chher unko,

Yeh shagul-e-sang-saari aur sheeshe ka makaa_n kab tak.

Author : Anand Narain Mulla

Mujhko khush aati hai masti, sheikh ji ko farbahi,

Mai_n hoo_n peene ke lieye, aur woh hai_n khaane ke lieye.

Author : Akber Allahabadi

Zaahid sharaab peene de masjid mei_n baith kar,

Ya who jagah bata jaha_n par Khuda nahi_n.

Author : Dagh

Ghalib bura na maan jo waaiz bura kahe,

Aisa bhi hai koi ke sab achha kahe_n jise.

Author : Mirza Ghalib

Agarche mai_n rind -e-muhtaram hoo_n,magar ise sheikh se na poochho,

Ke un ke aage tau is zarnaane mei_n saari duniya jahannumi hai.

Author : Akber Allahabadi

Hui hai hazrat-e-naasih se gufatgoo jis shab,

Woh shab zaroor sar-e-koo-e-yaar guzri hai.

Author : Faiz Ahmad Faiz

Kahaa_n maikhana ka darwaaza, Ghalib, aur kaha_n waaiz,

Par itna jaante hai_n kal woh jaata tha ke hum nikle.

Author : Mirza Ghalib

Seekh duniya hi mei_n waaiz, hoor se milne ke dhang,

Warna roega ke jannat mei_n bhi ruswaai hui.

Author : Hafeez

Umeed-e-hoor ne sab kuchh sikha rakhkha hai waaiz ko,

Yeh hazrat dekhne mei_n seedhe saade, bhole bhaale hai_n.

Author : Allama Iqbal

Gar ho sharaab-o-khilwato-mahboob-e-khoobroo,

Zaahid qasam hai tujhko Jo tu ho tau kya kare.

Author : Sauda

Sab haseen hai_n zaahido_n -ko na-pasand,

Ab koi hoor aaegi un ke lieye.

Author : Ameer Minai

Zauq, Jo madarse ke bigre hue hai_n mullah,

Unko maikhane mei_n le aao, sanwarjaaenge

Author : zauq

Hazrat-e-naasih gar aawe_n, deeda-o-di1 farsh e-raah,

Koi mujhko yeh tau samjha do, ke samjhawe_nge kya.

Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on WAAIZ : 821