donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
WAQT

Waqt aa pade to sang bhi shola nava bhi hai

Ye meri zindagi ke jo Shehnaz ida bhi hai

Author : Shehnaz Kanpuri

Ae waqt zara too tham ja mujhe yaad kisi ko karne dey,

Mujhe dosti hai ik sung dil say jo koi baat mujhay na karne dey,

Na apne paas woh aane de na khud se door woh jany dey,

Na dil ko apne paas rakhe na aur kisi ka hony dey,

Har waqt mujhe woh yaad aaye phir dil se ik aawaz aaye,

Yeh kaisi chahat hai us ki jo jeeney de na marney dey.

Author : Mohammad Sartaj

Be-tahasha jiye humlog,hame hosh nahi_n,

Waqt aaraam-se guzra, ke pareshani-se.

Author : G.M.Rahi

Waqt-ki dhoop tapish laakh ugaa-le dil-per,

Ek goshe mei_n magar, thodi tari rahti hai.

Author : Shahid Jameel

Waqt-ne kiyaa,kyaa hasee_n sitam,

Tum rahe na tum, hum rahe na hum.

Author : Sahir Ludhianvi

Kaise guzra padh-ke andaaza lagaalo,

Waqt-ki tafseer chehre-pe likhi hai.

Author : Sultan Akhtar

Waqt sau munsifo_n-ka munsif hai,

Waqt aayega, intezaar karo.

Author : Basheer Badr

Waqt ki sai-e-musalsal kaargar hoti gai,

Zindagi lahja-ba-lahja mukhtasir hoti gai.

Author : Ejaz

Gaya waqt phir haath aata nahi_n,

Sada aish daura_n dikhata nahi_n.

Author : Mir Hasan

Mere taghayyur-e- haal par mat ja,

Ittefaqaat hai_n zamaane ke.

Author : Mir Taqi Mir

Un ka zikr unki tamanna, unki yaad,

Waqt kitna qeemati hai aajkal.

Author : Shakil Badayuni

Meharbaa_n ho ke bula lo mujhe, chaho jis waqt,

Mai_n gaya waqt nahi_n hoo_n ke phir aa bhi na sakoo_n.

Author : Mirza Ghalib

Raat din gardish mei_n hai_n saat aasmaa_n,

Ho rahega kuchh na kuchh, ghabraae_n kya.

Author : Mirza Ghalib

Ghairat-e-Yousuf hai, yeh waqt-e-aziz,

Mir isko raaegaa_n khota hai kya.

Author : Mir Taqi Mir

Ghaib ki nazre_n bacha ke kuchh chura le waqt se,

Phir na haath aaega kuchh, har lamha hai pa-dar-rikaab.

Author : Firaq Gorakhpuri

Dil zamane be haath se saalim,

Koi hoga he rah gaya hoga.

Author : Dagh

Bhala gardish falak ki chain deti hai kise Insha,

Ghaneemat hai ke hum soorat yaha_n do chaar baithe hai_n.

Author : Insha

Waqt achha bhi aaega, Nasir,

Ghum na kar zindagi pari hai abhi.

Author : Nasir Kazmi

Zamaane ki gardish se chara nahi_n hai,

Zamana hamaara tumhara nahi_n hai.

Author : Ibrat Mahroom

Ghaflat mei_n waqt apna na kho, hoshiar ho, hoshiar ho,

Kab tab rahega khwab mei_n, bedaar ho, bedaar ho.

Author : Wali

 
Total Visit on WAQT : 1275