Chand nikla nahi_n to kiya gham hai
uski yaado_n ka chaandna to hai
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Jee bhar ke dekh leta hoo_n mai_n aayena-badan aata hai
yaad jab bhi sitamgar khayaal mei_n
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Yaado_n kee zaafraan hai Kashmir kee tarah jab se
hamari zeest mei_n daakhil huye hai_n aap
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Aankhon mein uski yaad kee tasweer-e-gham na ho,
aisa hua nahi_n, kabhi aisa hua nahi_n.
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Waqt barbaad karne waala tha,
Mai_n tujhe yaad karne waala tha.
|
Author : Raahi Fidayee |
|
Kisi-ki yaad bhi kitne hujoom rakhti hai,
Akela rah-ke mai_n saare zamaane waala hoo_n.
|
Author : Shahid Jameel |
|
Yaad rakhna tujhey mera ek jurm tha,
Bhool jana tujhey doosra jurm hai,
Ya sitam hai ke terey hasii shehar mei_n,
her taraf ghaur say dekhna jurm hai.
|
Author : Ayaz Jhanswi |
|
Guzar chuki thi bahut rat bato_n bato_n mei_n,
Phir uTh ke woh tera shamma bujhana yaad aata hai,
Ghataye kitni dekhi hai_n par mujhe Asrar,
Kisi ka ruKh par woh zulfe’n girna yaad aata hai.
|
Author : Asrar Ansari |
|
Humei_n to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai,
tumhei_n bhi kya kabhi koi diwana yaad aata hai,
hawaye tez thi barish bhi thi tufaa_n bhi tha lekin,
tera aise mei_n bhi wada nibhana yaad aata hai.
|
Author : Asrar Ansari |
|
Ishq ki chandni ratei_n mujhe yaad aati hai_n,
Umar-e-rafta ko meri mujh se mila de akar,
Zauq-e-nadid mei_n lazzat to hai magar naz nahi,
Aa mere ishq ko maghroor bana de akar.
|
Author : Akhter Sheerani |
|
Jab meri yad sataye tu mujhe Khat likhna,
Tum ko jab neend na aye tu mujhe Khat likhna.
|
Author : Zafar Gorakhpuri |
|
Woh jo hum mei_n tum mei_n qaraar tha tumhe_n yaad
ho ke na yaad ho,
Wohi waada yaani nibah ka, tumhe_n yaad ho ke na yaad
ho.
|
Author : Momin |
|
Yaad thei_n humko bhi ranga rang bazm aaraaeaa_n,
Lekin ab naqsh-o-nigaar-e-taaq-e-nisiaa_n ho gayei_n.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Yaad uski itni khoob nahi_n, Mir, baaz aa,
Naadaan phir woh jise bhulaya na jaaega.
|
Author : Mir Taqi Mir |
|
Nahi_n aati tau yaad unki maheeno_n bhar nahi_n aati,
Magar jab yaad aate hai_n tau aksar yaad aate hei_n.
|
Author : Hasrat Mohani |
|
Kabhi hum mei_n tum mei_n bhi chah thi,
kabhi hum mei_n tum mei_n bhi raah thi,
Kabhi hum bhi tum bhi the aashna,
tumhe_n yaad ho ke na yaad ho.
|
Author : Momin |
|
Dekh aae aaj yaado_n ka nagar,
Har taraf parchhaaeaa_n, parchhaaeaa_n,
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Hum ahl-e-qafas tanha bhi nahi_n, har roz naseem-e-
subah-e-watan,
Yaado_n se muattar aati hai, ashko_n se munawwar jaati
hai.
|
Author : Faiz Ahmad Faiz |
|
Mu_nh dekhe ki baate_n hai_n sab,
Kis ne kis ko yaad kiya hai.
|
Author : Nasir Kazmi |
|
Yaad-e-maazi azaab hai, yaarab,
Chheen lo mujh se haafiza mera.
|
Author : Akhter Ansari |
|
Duniya ke sitam yaad, na apni hi wafa yaad,
Ab mujh ko nahi_n kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad.
|
Author : Jigar |
|
Kya lutaf ke mai_n apna pata aap bataoo_n,
Ki jeye koi bhooli hui khas apni ada yaad.
|
Author : Jigar |
|
Yoo’n kis tarah katega kari dhoop ka safar,
Sar par khayaal-e-yaar ki chaadar hi le chale_n.
|
Author : Nasir Kazmi |
|
Go mai_n raha raheen-e-sitam haae rozgaar,
Lekin tere khayaal se ghaafil nahi_n raha.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Saqi bhala kaha_n qismat mei_n ab woh chhalakte paimaane,
Hum yaado_n ke jaam choom ke sookhe hont bhigo le hai_n.
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Yaad-e-ghazaal chashmaa_n, zikr-e-sama_n-azaaraa_n,
Jab chaaha karya hai kunj-e-qafas baharaa_n.
|
Author : Faiz Ahmad Faiz |
|
Garz ke kaat dieye zindagi ke din, ai dost,
Woh tiri yaad mei_n ho_n, ya tumhe_n bhulane mei_n.
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Zindagi yoo_n bhi guzar hi jaati,
Kyo_n tera rahguzar yaad aaya.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Guzaari thei_n khushi ki chand gharia_n,
Unhi ki yaad apni zindagi hai.
|
Author : Andaleeb Shadani |
|
Chooria_n bajti hai_n dil mei_n, marhabaa! bazm-e-
khyaal,
Khilte jaate hai_n nigaaho_n mei_n jabeeno_n ke gulab.
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Jaane waale kabhi nahi aate,
Jaane waalo_n ki yaad aati hai.
|
Author : Wajd |
|
Ujaale apni yaado_n ke hamaare paas rahne do,
Najaane kis gali mei_n zindagi ki shaam ho jaae.
|
Author : Bashir Badr |
|
Tumhaari yaad ke jab zakhm bhar ne lagte hai_n,
Kisi bahaane tumhe_n yaad kar ne lagte hai_n.
|
Author : Faiz Ahmad Faiz |
|