donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
ZABAAN
KABHI KISI KO MUKAMMAL JAHAN NAHI MILTA,
KAHI'N ZAMEE'N TO KAHI'N AASMA'N NAHI MILTA,
JISE BHI DEKHIYE WOH APNE AAP MEI'N GUM HAI,
ZABA'N MILI HAI MAGAR HAM ZABA'N NAHI MILTA.
Author : Shahryar

Yaad uski itni khoob nahi’n, Mir, baaz aa,
Naadaan phir who jise bhulaya na jaaega.
Author : Mir Taqi Mir

Guzashta ahd ki yaado’n ko phir karo taaza, 
Bujhe chiragh jalaao bahut andhera hai.
Author : Firaq Gorakhpuri

Dekh aae aaj yaado’n ka nagar,
Har taraf parchhaaeaa’n, parchhaaeaa’n,
Author : Firaq Gorakhpuri

Bhulata laakh hoo’n lekin barabar yaad aate hai’n,
Ilahi tark-e-ulfat par woh kyo’nkar yaad aate hai’n.
Author : Hasrat Mohani

Nahi’n aati tau yaad unki maheeno’n bhar nahi’n aati,
Magar jab yaad aate hai’n tau aksar yaad aate hei’n.
Author : Hasrat Mohani

Kabhi hum mei’n tum mei’n bhi chah thi, kabhi hum mei’n
tum mei’n bhi raah thi,
Kabhi hum bhi tum bhi the aashna, tumhe’n yaad ho ke na
yaad ho.
Author : Momin

Ab yaad-e-raftgaa’n ki bhi himmat nahi’n rahi, 
Yaaro’n ne kitni door basaai hai’n bastiaa’n!
Author : Firaq Gorakhpuri

Duniya ke sitam yaad, na apni hi wafa yaad,
Ab mujh ko nahi’n kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad.
Author : Jigar

Yaad-e-maazi azaab hai, yaarab,
Chheen lo mujh se haafiza mera.
Author : Akhter Ansari

Hum ahl-e-qafas tanha bhi nahi’n, har roz naseem-e-subah-e-watan,
Yaado’n se muattar aati hai, ashko’n se munawwar jaati hai.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Mu’nh dekhe ki baate’n hai’n sab,
Kis ne kis ko yaad kiya hai.
Author : Nasir Kazmi

Kya lutaf ke mai’n apna pata aap bataoo’n,
Ki jeye koi bhooli hui khas apni ada yaad.
Author : Jigar

Tabeeat apni ghabraati hai jab sunsaan raato’n mei’n,
Hum aise mei’n tiri yaado’n ki chaadar taan lete hai’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Zabaa’n gung hai, ishq mei’n gosh kar hai,
Bura sunte sunte, bhala kahte kahte.
Author : Momin

Main bhi munh mei’n zabaan rakhta hoo’n, 
Kaash poochho ke muddaa kya hai.
Author : Mirza Ghalib

Baat par waa’n zabaan kat-ti hai,
Woh kahe’n aur suna kare koi.
Author : Mirza Ghalib

Dhoke se pila di thi use bhi koi do ghoont,
Pahle se bahut narm hai waaiz ki zabaa’n ab. 
Author : Riaz

Zabaa’n pe muhar lagi hai tau kya, ke rakh di hai, 
Har ek halqa-e-zanjeer mei’n zabaan mai’n na.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Shab-e-hijar mei’n kya hajoom-e-bala hai,
Zabaa’n thak gai marhaba kahte kahte.
Author : Momin

Be-zabaani tarujmaan-e-shauq-e-be-hadd ho tau ho,
 Warna pesh-e-yaar kaam aati hai’n taqreere’n kahi’n.
Author : Hasrat

Koi mahram nahi’n milta jahaa’n mei’n,
Mujhe kehna hai kuchh apni zabaa’n mei’n.
Author : Fani

Zabaan dil ki haqeeqat ko kya bayaa’n karti,
Kisi ka haal kisi se kaha nahin jaata.
Author : Aziz Lucknavi

Zabaa’n pe baar-e-khudaya yeh kiska naam aaya,
Ke mere nutaq ne bose miri zabaa’n ke lieye.
Author : Mirza Ghalib

Be zabaani zabaa’n na ho jaae,
Raaz-e-ulfat ayaa’n na ho jaae.
Author : Dagh

Zabaan-o-gosh ki nakaamio’n ka kuchh thikana hai,
Ke baate’n ho ke bhi tujh se kabhi baate’n nahi’n hoti’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Zabaa’n khamosh hai madoom ho gai aawaz
Najaane kaun se sehra mai’n kho gayi awaaz
Author : Najam Usmani

Tarke taal’uq kar ke zabaa’n se dil ka jeena mushkil nahi
Yeh kaisa aahange wafa hai, tum bhi chup ho ham bhi chup
Author : Perwez Shahidi

Yaarab woh na samjhe’n hai’n, na samjhenge miri baat,
De aur dil unko jo na de mujhko zabaa’n aur.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on ZABAAN : 1330