donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
ZINDAGI
Ye maana zindagi hai chaar din ki
bahut hote haiN yaaroN chaar din bhi
Author : Firaq Gorakhpuri

Ummed-e-marg kab tak, zindagi ka dard-e-sar kab tak
ye mana sabra karte haiN mohabbat meiN magar kab tak
Author : Firaq Gorakhpuri

KABHI KISI KO MUKAMMAL JAHA'N NAHI MILTA,
KAHI'N ZAMEE'N TO KAHI'N AASMA'N NAHI MILTA,
JISE BHI DEKHIYE WOH APNE AAP MEI'N GUM HAI,
ZABAA'N MILI HAI MAGAR HAM ZABAA'N NAHI MILTA.
Author : Shahryar

Maawan je na howan zindagi, enj bhanjar lagti ae 
Jedha din badin khubda jave, oh hanjar lagi ae 

Akhan da mee jinna wi wase, bujhdi kadi wi nai 
Jadoo yaad ohdi ban ag mere, seene andar lagdi ae 
Author : Wakas Mir

Kash ussi din meri zindagi ki shaam ho jaye 
Jiss din tera wujood kisi aur ke naam ho jaye
Author : Wakas Mir

Ek ek pal zindagi ka jis ko de daala, ‘Naseem’
Ho gaya hai kyon na jaane is qadar woh badgumaan
Author : Malika Naseem

Mujh ko bahut azeez hai ‘Shehnaz’ aaj bhi
Yeh meri zindagi jo musalsal saza bhi hai
Author : Shehnaz Kanpuri

yeh kaisee bicharnay ki saza hai
aainay mein chehra rakh gaya hai

khursheed misaal shakhas kal shaam
maatti kay subarad kar diya hai

tum mar gai hoosla tumhara 
zinda hoon yeh mera hosla hai
Author : Obaidullah Aleem

do zamanoon mein musalsal hai humari zindagi
aik zamaa khawab ka hai dosra tabeer ka
Author : Obaidullah Aleem

“Kuch to hai baat jo aati  hai kaza ruk ruk ke
Zindagi Karz hai kiston me ada hoti hai”
Author : Qamar Jalalabadi

उँगलियाँ यूँ न सब पर उठाया करो
खर्च करने से पहले कमाया करो

ज़िन्दगी क्या है खुद ही समझ &
Author : Rahat Indori

زندگی مانگے ہے وفا مجھ سے
میرا تو پوچھ نہ پتہ مجھ سے 
چین آتا نہیں کسی صورت 
درد دل مانگے ¬
Author : Feroz Iqbal

Har nafas umar-e-guzishta ki hai mayyiat, Fani,
Zindagi naam hai, mar-mar ke jiye jaane ka.
Author : Fani Badayuni

Ik muamma hai samajhne ka, na samjhaane ka,
Zindagi kaahe ko hai, khwab hai deewaane ka.
Author : Fani Badayuni

Zindagi tu-ne mujhe qabr-se kum dee hai zamee'n,
Paao'n phailaau'n toh deewaar-mei'n sar lagta hai.
                        
Author : Bashir Badr

minnatein hain khyaal ki tere
khoob guzri tere khyaal ke sath
maine ek zindagi basar kar dee
tere naa-deeda khatt-o-khaal ke saaath
Author : Jaun Elia

Zah-re gham eik din pilaa ke  mujhe,
Aap rukhsat  hu-ei  rulaa  ke mujhe,
Zindagee  tubhi to  nahi-n    maujood,
Kia  milaa  tujh ko  aazmaa-n ke  mujhe.
Author : Aslam Rahi,Pakistan

Zindagi Sirf Tere Nam Se Mansoob Rahe,
Jane Kitne Hi Dimagho'n Ne Ye Socha Hoga.
Author : Abbas Daana

Jite rahane ki saza de zindagi ai zindagi, 
Ab tu marane ki dua de zindagi ai zindagi ,
Mai'n tu ab uqta gaya hun kya yahi hai qayanat, 
Bas ye aina hata de zindagi ai zindagi .
Author : Zaka Siddiqui

Zindagi tujh se mil kar zamana hua,
A tujhe aaj ham maikade le chale'n,
Rat ke nam honTho'n ke saghar likhe'n,
Apani ankho'n mei'n kuchh rat-jage le chale'n
Author : Zubair Rizvi

tabahi ka apni nishan chor aye 
warq dar warq dastan chor aye
har ek ajnabi se pata pochte hain 
tujhe zindgi hum kahan chor aye 

Author : Kaif Azeemabadi

Ishq-e-la mahdood jab tak rahnuma hota nahi’n,
 Zindagi se zindagi ka haq ada hota nahi’n.
Author : Jigar Muradabadi

Zindagi ik haadisa hai, aur aisa haadisa, 
Maut se bhi khatam jiska silsila hota nahi’n.
Author : Jigar Muradabadi

Duniya ka fikar, maut ka dar, aabroo ka dhayaan,
 Do din ki zindagi mire haq mei’n bala hui.
Author : Shad Azeemabadi

Bahut hasee’n sahi suhbate’n gulo’n ki magar 
Woh zindagi hai jo kaanto’n ke darmiaa’n guzre.
Author : Jigar Muradabadi

Tang aa chuke hai’n kashmakash-e-zindagi se hum,
 Thukra na dei’n jahaa’n ko kahi’n be-dili se hum.
Author : Sahir

Is daur mei’n zindagi bashar ki,
 Beemaar ki raat ho gai hai.
Author : Firaq Gorakhpuri

Urta hai shauq-e-raahat-e-rnanzil se asp-e-umr,
Mahmeez kisko kahte hai’n aur taaziaana kya.
Author : Aatish

Justjoo hai zindagi, zauq-e-talab hai zindagi,
Zindagi ka raaz lekin doori-e-manzil mai’n hai.
Author : Asgher Gondvi

Din zindagi ke khatam hue, shaam ho gai,
Phaila ke paaon soe’nge, kunj-e-mazaar mei’n.
Author : Bahadur Shah Zafar

Zindagi beshak tera inaam hai, yaarab, magar,
Sun sake tau kuchh tere inaam ki baate’n kare’n.
Author : Hari Chand Akhter

Tu yeh mat kah mai’n tujhe kahta tha apni zindagi,
In dino’n jeene se bhi ji mera bezaar hai.
Author : Mirza Ghalib

Safar zaroor hai, aur uzar ki majaal nahi’n,
Maza tau yeh hai na manzil, na raasta maaloom.
Author : Shad Azeemabadi

Suni hikaait-e-hasti tau darmiaa’n se suni,
Na ibteda ki khabar hai, na inteha maaloom.
Author : Shad Azeemabadi

Hasti par ek dam ki tumhe’n josh is qadar,
Is bahr-e-muj khez mei’n tum tau habaab ho.
Author : Mir Taqi Mir

Hasti apni habaab ki si hai,
Yeh numaaish suraab ki si hai.
Author : Mir Taqi Mir

Mauje’n kare hai ab tau bahr-e-jahaa’n mei’n tu,
Jaane ga baad-e-rnarg ke aalam habaab tha.
Author : Mir Taqi Mir

Zindagi kya hai? anaasir mei’n zahoor-e-tarteeb,
Maut kya hai? inhi ijza ka pareeshaa’n hona.
Author : Chakbast

Zindagi hai ya koi toofaa’n hai,
Hum tau is ‘jeene ke haathon mar rahe.
Author : Dard Dehlvi

Mar ke toota hai kabhi silsala-e-qaid-e-hayaat,
Magar itna hai ke zanjeer badal jaati hai.
Author : Fani

Fikare-ma -aash, ishq -e-butaa’n, yaad-e-raftgaa’n,
Do din ki zindagi mei’n ab koi kya kya kiya kare!
Author : Sauda

Zindagi kya kisi muflish ki qaba ha jisme’n,
Har ghari dard ke paiwand lage jaate hai’n.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Umr-e-daraaz maang ke laaey the chaar din,
Do aarzoo me’in kat gaye, do intezaar mei’n.
Author : Bahadur Shah Zafar

Zindagi ki aag ka anjaam khaakastar nahin,
Tootnajiska muqaddar ho, yeh woh gohar nahi’n.
Author : Allama Iqbal

Zindagi kya hai, isko aaj ai dost,
Soch le’n aur udaas ho jaae’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Mukhtesar yeh hai hamaari daastaan-e-zindagi,
Ik sakoon-e-dil ki khaatir umr bhar tarpa kieye.
Author : Unknown

Mauje’n kare hai ab tau bahr-e-jahaa’n mei’n tu,
Jaane ga baad-e-rnarg ke aalam habaab tha.
Author : Mir Taqi Mir

Hasti ba-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahi’n,
Phir kis lieye yeh fikar-e-qaraar-o-sabaat hai.	
Author : Firaq Gorakhpuri

Zindagi yoo’n bhi guzar hi jaati,
Kyo’n tera rahguzar yaad aaya.
Author : Mirza Ghalib

Tu ise paimaana-e-imrooz-o-farda se na naap,
Jaawedaa’n, paiham rawaa’n, har dam jawaa’n hai zindagi.
Author : Allama Iqbal

Jaan di, di hui usi ki thi,
Haq tau yeh hai, ke haq ada na hua.
Author : Mirza Ghalib

Jab nazar uski aan parti hai,
Zindagi tab dhayaan parti hai
Author : Sauda

Zindagi insaan ki hai maanind-e.murgh-e-khush nawa,
Shaakh par baitha koi dam, chahchahaaya, ur gaya.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on ZINDAGI : 3113