donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
ZULF
Ai gesoo-e-ghazal! Teri zulfon mein chhaon hai
baaqi kisi bhi dhoop mein koi shajar nahin
Author : Kalim Akhtar

Mukhalif baad-e-sarsar mein zara lahrane do zulfen
isi mein hum watan ka apne parcham dekh lete hain
Author : Kalim Akhtar

Nazar se aasman ko dekhna bhi kiya zaroori hai?
teri zulfon mein jaanam kahkashan hum dekh lete hain
Author : Kalim Akhtar

Chehare pe mere zulf ko phailao kisi din, 
Kya roz garajate ho baras jao kisi din.
Author : Amjad Islam Amjad

Apni Zulfo’n Ko Sitaro’n Ke Havale Kar Do, 
Shahar-e-gul badagusaro’n ke havale kar do.   
Talkhi-e-hosh ho ya masti-e-idarak-e-junu’n, 
Aaj har chiz baharo’n ke havale kar do. 
Author : Abdul Hamid Aadam

zulfo'n ki to fitrat hai lekin mere pyare
zulfo'n se bhi zyada balkhaye chalo ho
Author : Kalim Aajiz

Apni Zulfo’n Ko Sitaron Ke Havale Kar Do, 
shahar-e-gul badagusaro’n ke havale kar do.   
talkhi-e-hosh ho ya masti-e-idarak-e-junun, 
aj har chiz baharon ke havale kar do. 
Author : Abdul Hamid Aadam

Zaahid ne mira haasil-e-imaa’n nahin dekha,
Rukh par teri zulfo’n ko pareeshaa’n nahi’n dekha.
Author : Asgher Gondvi

Tu, aur aaraish-e-kham-e-kaakul,
Mai’n aur andesha-haae door-o-daraaz.
Author : Mirza Ghalib

Taarekiaa’n chamak gaiee’n aawaaz-e-dard se,
Meri ghazal se raat ki zulfe’n sanwar gaiee’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Balaae’n zulf-e-janaa’n ki agar lete tau hum lete,
Bala yeh kaun leta jaan par, lete tau tum hum lete.
Author : Bahadur Shah Zafar

Hum hue, turn hue, ke Mir hue,
Us ki zulfo’n ke sab aseer hue.
Author : Mir Taqi Mir

Mauj-e-naseem-e-subah ke qurbaan jaaeye,
Aai hai boo-e-zulf-e-muamber lieye hue.
Author : Asgher Gondvi

Tu ne sulajh kar gaisu-e-jaana’n,
Aur barha di dil ki uljhan.
Author : Jigar Muradabadi

Ik na ik zulmat se jab wabasta rahna hai, tau Josh,
Zindagi par sayaa-e-zulf-e-pareeshaa’n kyo’n na ho.
Author : Josh Malihabadi

Sauda jo un ne baandha zulfo’n mei’n dil, saza hai,
Shairo’n mei’n tu ne uske kyo’n khat-o-khaal baandhey.
Author : Sauda

Jab yaar ne utha kar zulfo’n ke baal baandhey,
Tab mai’n ne apne dil mei’n laakho’n khayaal baandhey.
Author : Sauda

Ghar se har waqt nikal aate ho khole hue baal, 
Sham dekho na miri jaan savera dekho.
Author : Hasrat

Neend uski hai, dimaagh uska hai, raate’n uski hai’n, 
Teri zulfe’n jis ke baazoo par pareeshaa’n ho gaiee’n.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on ZULF : 1709