donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Siraj Dehlvi
 
Share this Design Poetry to Aalmi Urdu Ghar
SIRAJ DEHLVI : Sar zameene Hind ko mera salam,
        
Siraj_Dehlvi_158931422174252.jpg
Mera Salam
	
Sar zameene Hind ko mera salam,
Aye watan qudrat tujhe bakhshe dawam,

Chishti,Nanak,Gandhi ka yeh Desh hai,
Aur kahne ke liye kya shesh hai,
Yad rakhenge hamesha un ke naam,
Sar zameene Hind ko mera salam,

Uski azmat,uski izzat,uski shan,
Desh ka samman hi hai apna maan,
Ham piye rahte hain qurbani ka jam,
Sar zameene Hind ko mera salam,

Ham hain Hindi,ham ko yeh ehsas hai,
Sare hi dharmo.N ka ham ko paas hai,
Dharm jaati se nahi kuchh ham ko kaam,
Sar zameene Hind ko mera salam,

Bhasha hai har parant ki kuchh yo.N alag,
Ik anguthi me jurhe ho.N jaise nag,
Karte hain har bhasha ka ham ehteram,
Sar zameene Hind ko mera salam,

Sab ke dil ki ban ke rahat Too rahe,
Duniya jab tak hai salamat Too rahe,
Ho darakhsha.N aur teri subho sham,
Sar zameene Hind ko mera salam,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 811