donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hamare sar par hi kiyo.n waqt ki talwaar girti hai , *

Hamare sar par hi kiyo.n waqt ki talwaar girti hai ,

Kabhi chhat baith jati hai kabhi divaar girti hai,

Pasand aayee nahi bijli ko bhi taqsim aangan ki ,

Kabhi is paar girti hai kabhi us paar girti hai,

Qalam hone ka khatra hai agar mai.n sar uthaa Ta hoo.n ,

Jo gardan ko jhukayu.n to meri dastar girti hai ,

Mai.n apne dasto bazoo par bharosa kiyo.n nahi karta,

Hamesha na khuda ke hath se patwar girti hai ,

Sharafat ko kahi.n jaaye amaa.n milti nahi hai kiya ,

Mere dahlez par aakar voh kiyo.n har bar girti hai,

Voh amrit ke jo jharne the hue hai.n khushk kiyo.n “Aalam”,

Ab is parbat ki choti se lahoo ki dhaar girti hai .

*****************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 743