Pani ankh mai.n bhar k laya ja sakta hai
ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai
aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat
lekin is se kam chaleya ja sakta hai
Dil par pani piny ati hai.n umeede.n
is chashmy mai.n zeher milaya ja sakta hai
mujh benam se pujhty hain Farhad-o-Majnoo
ishq mai.n kitna naam kamaya ja sakta hai
phatta puran khwab hai mera phir bhi Tabish
is mai.n apna aap chupaya ja sakta hai