piri mei.n shauq hausla-farsa nahi.n raha
wo dil nahi.n raha wo zamana nahi.n raha
kya zikr-e-mehr us ki nazar mei.n hai dil wo KHwar
shayan-e-jaur-o-zulm dil-ara nahi.n raha
jhagDa miTa diya but-e-kafir ne din ka
ab kuchh KHilaf-e-momin-o-tarsa nahi.n raha
ushshaq-o-bul-hawas mei.n nahi.n karte wo tamiz
wan imtiyaz-e-nek-o-bad asla nahi.n raha
kyun bahr-e-sair aane lage gul-ruKHan-e-dahr
piri mei.n dil saza-e-tamasha nahi.n raha
kah do ki qabr-e-nash bhi ki us ki paemal
nam-o-nishan-e-ashiq-e-ruswa nahi.n raha
ab tak yaha.n hai ijz o niyaz o wafa ki dhum
wan lutf o iltifat o madara nahi.n raha
kashti baghair dasht-nawardi ho kis tarah
ashkon se bahr ho gaya sahra nahi.n raha
masti mei.n raat wo na khule mujh se ham-nashi.n
kuchh aitibar-e-nashsha-e-sahba nahi.n raha
kyu.n jae.n phir ke kabe se 'nassakh' dair ko
wo sar nahi.n raha wo sauda nahi.n raha
************************