donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* bagh mei.n jab ki wo dil KHun-kun-e-har-gul pahunche *

bagh mei.n jab ki wo dil KHun-kun-e-har-gul pahunche
bilbilati hui gulzar mei.n bulbul pahunche
sadma-e-sham-e-ajal mujh ko na bilkul pahunche
gar meri dad ko kal tak bhi wo kakul pahunche
dil bhi le kar alam-e-ah muqabil pahuncha
neza-bazan-e-mizha jab ba-taghaful pahunche
mehr kucha tera jhaDe hai ba-jarub-e-shua
ki isi tarah baham tujh se tawassul pahunche
apna ye munh to na tha aap talak hum pahunche.n
aap ka jab ki hua hum pe tafazzul pahunche
ham-rah-e-yas-o-alam dasht-e-junu.n mei.n kal hum
ba-tahammul ba-tammul ba-tajammul pahunche
gar tere wazn pe mai.n sare qawafi bandhu.n
dam tera nak mei.n ai bab-e-tafawwul pahunche
KHana-abaad tumhaara ho ki hum hazrat-e-ishq
nafa ko tum se ba-ayyam-e-tawakkul pahunche
dard-o-gham yas-o-alam soz-e-dil o dagh-e-jigar
tohfe jo aap ne bheje hamei.n bilkul pahunche
jab gaya husn to aaya tere iKHlas ka bar
ab taraqqi hai tab ayyam-e-tanazzul pahunche
qahr ek rind pe qul pir-e-mugha.n ne tha paDha
sher ye hum ne suna sunne ko jab qul pahunche
tars-e-uqba hai to mai-KHana mei.n rah ai zahid
tab bacho wa.n jo baja kan mei.n qulqul pahunche
rashk-e-gul bagh mei.n baiTha tha to hum bhi 'ehsan'
ye ghazal paDhte hue wa.n ba-tajahul pahunche

************************
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 255