donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dil to hazir hai agar kijiye phir naz se ramz *

dil to hazir hai agar kijiye phir naz se ramz
hai.n tere naz ke sadqe isi andaz se ramz
ramz-o-ima-o-kinae tujhe sab yaad hain yar
hum to bhule hai.n gham-e-ghamza-e-ghammaz se ramz
apni na-fahmi se mai.n aur na kuchh kar baiThu.n
is tarah se tumhei.n jaez nahi.n eajaz se ramz
dil ko tu sahj mei.n lewega ye mai.n jaan chuka
yahi nikli hai.n teri sahj ki aawaz se ramz
hum jie.n ya ki mare.n kuchh nahi.n gham shauq se aap
masnad-e-naz pe farmaiye eazaz se ramz
mai.n isi dam teri tarwar se kaTunga gala
tegh dikhla ke miya.n aashiq-e-jaan-baz se ramz
baz jaddam se dar-e-adl-e-shah-e-alam hai
bachcha-e-qaz bhi karta hai yaha.n baz se ramz
kya tajjub hai agar murda-e-sad-sala jie.n
kam nahi.n mere masiha ke bhi eajaz se ramz
hai tujhe KHana-KHarabi hi agar madd-e-nazar
kijiyo ai falak us KHana-bar-andaz se ramz
ramz-e-'ehsan' se hai yani ki ghazal aur bhi paDh
sikh jae koi us chashm-e-fusu.n-saz se ramz

*****************
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 247