donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dosh-ba-dosh dosh tha mujh se but-e-karishma-kosh *

dosh-ba-dosh dosh tha mujh se but-e-karishma-kosh
parda dar KHiyam-e-aql-e-raKHna-gar harim-e-hosh
ghaza ba-ru misi ba-lab pan ba-daha.n hina ba-kaf
silk-e-durr-e-adan basar turra-e-ambari.n ba-dosh
pal mei.n mariz wo kare dam mei.n shifa ye de mujhe
aah wo chashm-e-mai-parast wah wo lal-e-baada-nosh
mail-e-aish jaa.n kar jahil bewafa kahe
sail-e-bosa jabki hu.n chupke kahe ki chup KHamosh
ishq mei.n sab hai behtari dekh ba-chashm ghaDi
rashk-e-qamar hai mushtari-e-dida-gah-e-farosh
munkir-e-mai tha shaiKH kal aaj ye haal hai ki hai
jam-ba-dast-o-KHum-ba-sar shisha-ba-lab-o-ba-dosh
naghma-sara ho 'muhsina' taki wo bagh bagh bagh
sausan-e-sad-zaba.n ho gul ki tarah tamam gosh

*********************
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 207