gali se teri jo ki ai jaan nikla
gareba.n se dast-o-gareb.an nikla
teri aan pe ghash hu.n har aan zalim
to ek aan lekin na ya.n aan nikla
yahi mujh ko rah rah ke aata hai arman
ki tujh se na kuchh mera arman nikla
meri aah-e-atish-fishan dekhti hai
liye ghar se har aan quran nikla
meri jaan shart-e-rifaqat nahi.n ye
nikal jaan tu bhi ki paikan nikla
kiya mai.n ne mujra to jhunjhla ke bola
kaha.n ka mera jaan pahchan nikla
ajab be-baha hai mera ashk yaro
ye kam-baKHt laDka to tufan nikla
mujhe shaiKH ulfat se mane hai 'ehsan'
wali jis ko samjha tha shaitan nikla
+++++++++++++