donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ghair ke dil pe tu ai yar ye kya bandhe hai *

ghair ke dil pe tu ai yar ye kya bandhe hai
hai wo ek baad-farosh aur hawa bandhe hai
bul-hawas jama-e-uryani-e-ushshaq ko dekh
tu gareba.n se kyu.n apna gala bandhe hai
yun sharar chhiDti hai.n jaise ki hawai hai chhuTi
ek sama.n aah meri ta-ba-sama bandhi hai
dil-e-sar-gashta bhi to ek bala mei.n hai phansa
kabhi kholi hai kabhu zulf-e-dota bandhe hai
ye to tujh se na hua aawe shab-e-tar mein yar
tar shikwo.n hi ka tu subh-o-masa bandhi hai
dekh kar toDa gale ka koi dil deta hai
munDchara-pan se tu kyu.n apna gala bandhe hai
bewafa manda ki rakkhi to na tujh pas rahu.n
kya karu.n panw mera dast-e-wafa bandhe hai
naf-e-ahu mei.n na kis tarah se ja kar wo chhupe
mushk ki mushki.n teri zulf-e-rasa bandhe hai
ek jhagaDalu ki duKHtar pe hua hai aashiq
dil mera jaan ke jhagDe ki bina bandhe hai
jab jafa se teri hota hu.n KHafa ghusse se
TukTuki meri taraf mehr-e-wafa bandhe hai
jab kaha mai.n ne ki juDe ko meri jaan tu bandh
band mahram ke mai.n bandhunga tu kya bandhe hai
khol kar baalo.n ko aashufta-o-barham ho kar
tere kahne se kaha meri bala bandhe hai
sahl ye taur hai 'ehsan' ghazal ek aur bhi likh
hai khula sab pe tu mazmun bandha bandhe hai

++++++++++++++++

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 148