donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abhishek Shukla
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* De uThi lau jo tere saath guzaari hui shaam *

De uThi lau jo tere saath guzaari hui shaam
Hujra e jaaN ki har ik cheez pe taari hui shaam
Umr bhar dhoop lapete rahe apne tan se
Ham se pahni na gayi uski utaari hui shaam
Pahle to mujhse meri zaat ka matlab poochha
Aur phir apne hi ehsaas se aari hui shaam
Ae junooN pooch isi lamha e maujood se poochh
Lams ye kiska uThaaya hai K bhaari hui shaam
Do hi kirdar numaayaaN hai.n kahaani meiN meri
BekaraaN dasht hua maiN to shikaari hui shaam
Is taraf dasht e badan meiN koi sooraj dooba
Us taraf seena e aflaak se jaari hui shaam
MaiN naseiN kaat ke sooraj meiN utar hi jaata
Par khayaal aaya tera hijr ki maari hui shaam
Kya faqat hamse sawaalaat kiye jaayenge?
Kya faqat hamse mukhatib hai ye haari hui shaam?
Ham ne har shai meiN utarte hue dekha khud ko
Yaad aayi jo tere qurb pe waari hui shaam


By: Abhishek Shukla

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 356