donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aalam hi aur tha jo shanasaiyo.n mei.n tha *

Ada Jafri


aalam hi aur tha jo shanasaiyo.n mei.n tha
jo dip tha nigah ki parchhaiyo.n mei.n tha
wo be-panah KHauf jo tanhaiyo.n mei.n tha
dil ki tamam anjuman-araiyo.n mei.n tha
ek lamha-e-fusu.n ne jalaya tha jo diya
phir umr bhar KHayal ki ranaiyo.n mei.n tha
ek KHwab-gun si dhup thi zaKHmo.n ki aanch mei.n
ek saeban sa dard ki purwaiyo.n mei.n tha
dil ko bhi ek jarahat-e-dil ne ata kiya
ye hausla ki apne tamashaiyo.n mei.n tha
kaTta kahan tawil tha raato.n ka silsila
suraj meri nigah ki sachchaiyo.n mei.n tha
apni gali mei.n kyu.n na kisi ko wo mil saka
jo eitimad baadiya-paimaiyo.n mei.n tha
is ahd-e-KHud-sipas ka puchho ho majra
masruf aap apni paziraiyo.n mei.n tha
us ke huzur shukr bhi aasan nahi.n ada
wo jo qarib-e-jaan meri tanhaiyo.n mei.n tha


***************

 

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 479