donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sah loonga tera teer e nazar vaar kiye jaa, *
Sah loonga tera teer e nazar vaar kiye jaa,
Bas shart yahi hai ki mujhe pyar kiye jaa,

Aa Aa ke basad naaz o ada khana e dil meiN,
Soye huye jazbaat ko bedaar kiye jaa,

Aabaad tujhi se hai yeh kasanaa e hasti,
Hai mujh se mohabbat tuje iqraar kiye jaa,

Achche nahiN lagte haiN mujhe un ke iraade,
Aghyaar agar poocheiN to inkaar kiye jaa,

Is tarz e taghaful ka saba koii to hoga,
Kya mujh se shikayat hai yeh izhaar kiye jaa,

Haalaat musa'id nahiN rahte haiN hamesha,
Hamwaar nahiN raah to hamwaar kiye jaa,

Hai maslahat andeshi ka Barqi yeh taqaza,
Duzdeedaa nigaahi sahi deedaar kiye jaa.
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 438