|
* Woh hasb e wada na aayaa to aankh bhar aai, *
Woh hasb e wada na aayaa to aankh bhar aai,
Mujhe tamasha banaya to aankh bhar aaii,
Saja ke rakhta thaa palkoN pe jis ko main aksar,
Nazar se us ne giraayaa to aankh bhar aaii,
Hamesha karta tha meri jo naaz bardaari,
Usi ka naaz uthaaya to aankh bhar aaii,
Jise samajhta tha main dil nawaaz jab us se,
Sukoon e qalb na paaya to aankh bhar aaii,
Woh mujh se bharta tha dam dosti ka lekin jab,
Udoo se haath milaaya to aankh bhar aaii,
Na thaa yeh wahm o gumaaN mujh ko woh bulaye ga,
Magar jab us ne bulaaya to aankh bhar aaii,
NahiN hai shikwa koii doston se aye Barqi,
Fareb dost se khaayaa to aankh bhar aaii.
|
|