donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Qalb hai mera ishq se sarshaar, *
Qalb hai mera ishq se sarshaar,
Kis tarah iska main karoon izhaar,

Kuchch bhi sunne ko jo na ho tayyar,
Us se hai arz e mudd’aa bekaar,

Jabhi iqraar hai kabhi inkaar,
Uske tarz e amal se hoon bazaar,

Kab tak aakhir sahoon main uske waar,
Mujh se nahaq hai bar sare paikaar,

Samne aaye to sahi mere,
Gul khiaye gi baahami takraar,

Aana hota agar to aa jaata,
Sirf karta hai wadah e deedaar,

Samne aaya nagahaan ek din,
Kya bataa’oon main apna haal e zaar,

Dekh kar usko ho gaya bekhud,
Jab huein us se meri aankhein chaar,

Neend aankhon se ho gaii kaafoor,
Main hoon uske feraaq mein bedaar,

Naqsh hain lauh e qalb par mere,
Rukh e zeba ke uske naqsh o negaar,

Khanah e dil mein ab naheen hai woh,
Le gaya saath mera sabr o qaraar,

Gham gusaari ka dam jo bharta thaa,
Mera BARQI naheen hai woh ghamkhwaar.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 406