donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Afsanah e hayaat ka ubwaan tumhin to ho, *
Afsanah e hayaat ka ubwaan tumhin to ho,
Taar e nafas hai jis se ghazalkhwaan tumhin to ho,

Roshan hai tum se shama e shabistan e aarzoo,
Mere neshaat e rooh ka saamaan tumhin to ho,

Aabaad tum se khanah e dil tha mera magar,
Jis ne kiya hai ab use veeraan tumhin to ho,

Kuchh to bataao mhjh se ki aakhir kahaan ho tum,
Noor e nigaah e didah e hairaan tumhin to ho,

Main dekhta hoon bazm e negaaraan mein har taraf,
Jo hai meri nigaah se pinhaan tumhin to ho,

Karte ho baat baat mein kyon mujh se dil lagi,
Jis ne kiya hai mhjhko pareshaan tumhin to ho,

Kyon le rahe ho meri mohabbat ka imtehaan,
Loota hai jis ne mera dil o jaan tumhin to ho,

Hai mausam e bahaar mein bekaif zindagi,
Mashshatah e uroos e bahaaraan tumhin to ho,

Barqi ke intrzaar ki ab ho gaii hai had,
uske tasawuuraat mein raqsaan tumhin to ho.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 432