donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab mere samne tera rukh e zeba hoga, *
Jab mere samne tera rukh e zeba hoga,
Tab kaheen ja ke shab e gham ka savera hoga,

Hai mera khanah e dil Tere liye chashm baraah,
Tu na aayega agar kaise guzara hoga,

Kis tarah mere guzarte hain shab o roz na pooch,
Hoga mahsoos tujhe jab kabhi tanha hoga,

Gulbadan ,ghuncha dahan,zohra jabeen, jaan e ghazal,
Kitna purkaif o haseen tera nazara hoga,

Hai teri jalwah gah e naaz o ada hosh ruba,
Sochta hoon main sarapa tera kaisa hoga,

Hai mujhe josh e junoon mein bhi tera paas o lehaaz,
Tu ho ruswa yeh mujhe kaise gawaara hoga

Yeh teri zulf e girahgeer hai gharatgar e hosh,
Tujh ko mashshatah e fitrat ne sanwara hoga,

Tera jana hai khezaan aur tera aana hai bahaar,
Tu na hoga to yeh bekaif nazara hoga,

Teri tasveer e tasawur hai nehayat purkaif,
Hoga kya rubaru jab bhi tera jalwa hoga,

Laya yeh soz e duroon rang bilaakhir Barqi,
Ab tere samne woh husn e dilaara hoga,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 423