donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Fitna-o-sharr kaa hai wo paikar khulaa, *
Fitna-o-sharr kaa hai wo paikar khulaa,
rakhiye zehn-o-fikr kaa ye dar khulaa,

roz-e-meHshar kaa tasavvur kyaa kareN,
har taraf barpaa hai ik meHshar khulaa,

ham sunaayeN kis ko apnaa Haal-e-zaar,
dushman-e-jaaN hai wo chaarahgar khulaa,

hai ba-shakl-e-nazm meri ye Ghazal,
jis kaa hai soz-e-daruuN mazhar khulaa,

Mirza Ghalib kitne duur-andesh thay,
b`aad unn ke, unn kaa ye jauhar khulaa,

aaj Hasb-e-Haal hai unn kaa ye qaul,
“dete haiN dhokaa ye baaziigar khulaa”,

unn ka nasb-ul-`Ain hai makr-o-fareb,
aaj Khatrah hain ye ahl-e-zar khulaa,

zad meN hai inn ki nizaam-e-kaa`enaat,
pur Khatar hai aalamii manzar khulaa,

hain ba-zaahir dost dar-pardah magar,
aastiiN meN rakhte haiN Khanjar khulaa,

apne gird-o-pesh par rakhiye nazar,
ho na jaaye nazr-e-aatish ghar khulaa,

amn-o-sulah-o-aashiqii ke naam par,
shar-pasandii kaa hai ye meHvar khulaa,

mashriq-e wasta hai `ibrat kaa maqaam,
hai jahaaN sargarm wo Khudsar khulaa,

ab junuubii Asia par hai nazar,
kyuuN ki hai ye eik ganj-e-zar khulaa,

uss ki fard-e-jurm hai be-Had taveel ,
shar-pasandii kaa hai wo rahbar khulaa,

Kaifar-e-kirdaar tak pahuNchegaa wo,
jab bhi uss ke jurm kaa daftar khulaa ,


woh sitam-eejaad hai, Ahmad Ali,
zulm-o-istabraad kaa Khuugar khulaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 409