donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Itna na kheencho Ho gaya Bas, *
Itna na kheencho Ho gaya Bas,
Toot na Jaaye Taar-e-Nafas,

Sheeren Bayani Uski Mere,
Gholti hai KaanoN main Ras,

Khati hai Bal Naagin ki Tarah,
Darr hai na lein yeh Zulfein Das,

Uska Manaa-na Mushkil Hai,
Hota nahin woh Tas se Mas,

Wada hai Uska Wada-e-Hashr,
Abhi to Guzre hain Chand Baras,

Phool unhoN ne Baant Liye,
Mujhko Mile hain Khaar o Khas,

Subh hoyi Ab Aankhein khol,
Sunta nahin kya Bang e Jaras,

Usne itne Dhaaye Zulam,
Main ne kaha ab bas bas bas,

Barqi ko jis se hai ummeed,
Usko nahin aata hai taras.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 440