donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri janib nigahein uski hai duzdeedah duzdeedah, *

Meri janib nigahein uski hai duzdeedah duzdeedah,

Junoon e shauq mein dil hai mera shoridah shoridah,

Na poochh aye hamnashin kaise guzarti hai shab e Furqat,

Main hoon Aazurdah khatir woh bhi hai ranjidah ranjidah,

Gumaan hota hai har aahat pe mujhko uske aane kaa,

Taswwur mein mere rahta hai woh khwabidah khwabidah,

Woh pahle to na tha aisa use kya ho gaya aakhir,

Nazar aata hai woh aksar mujhe sanjadah sanjidah,

Na poochho meri is waraftagi e shauq ka aalam,

Khlish dil ki mujhe kar deti hai namdidah namdidah,

Bahu pur kaif tha uska tasvvur shaam e tanhaaii,

Nigah e shauq hai ab muztarib nadidah nadidah,

Safar dasht e tamanna ka bahut dushwar hai BARQI,

Pahunch jaoonga main lekin wahaan laghzidah laghzidah .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 440