donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main banker rah gaya hoon ek tamasha sab tamashaaii, *
Main banker rah gaya hoon ek tamasha sab tamashaaii,

Junoon e shauq hai yeh beneyaaz e khauf e ruswaaii,

Kaheen aisa na ho yeh raaz tash az baam ho jaye,

Karoon soz e duroon par kis tarah main khama farsaaii,

Na pooch aye hamnasheen kaise guzarti hai shab e furqat,

Bahut sabr aazmaa hota hai yeh ehsaas e tanhaaii,

Achanak dawat e nazzarah jab deta hai woh mujhko

Nahin rahti basa auqaat mujh mein tab e goyaaii,

Jidhar jao udhar wahshat gareebaangir hoti hai,

Junoon e ishq ne mujhko bana dala hai saudaaii,

Woh khud wada shikan hai phir bhi mujh se poochhta hai yeh,

Kahaan itne dinon the aaj meri kaise yaad aaii,

Kamaan e zindagi hai meri uske haath mein tab se,

Hui jis roz se BARQI meri us se shenasaaii.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 397