donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Taswur mein tere kuche ki jab tasveer hoti hai, *
Taswur mein tere kuche ki jab tasveer hoti hai,

Meri nazron mein sair e wadi e Kashmir hoti hai,

Suni tareef main neb hi hai yun to chashm e aahoo ki,

Magar woh aankh kya kahiye jo aahoogir hoti hai,

Ba’asaani bana leti hai beganon ko bhi apna,

Mohabbat mein bala ki quaat e taskhir hoti hai,

Koi kahta hai suuraj aur koi kahta hai chand usko,

Kitaab e rukh ki bhi kya kya bayaan tafseer hoti hai,

Ghazal pahle hadees e dilbari thi lekin ab is mein,

Bayan nau e basher ke khwab ki taabir hoti hai,

Junoon e intehaa e shauq mein Ahmad Ali Barqi,

Jidhar jaao udhar wahshat garibaangir hoti hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 464