donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khil utha dil misl e ghunchah aate hi fasl e bahaar, *
Khil utha dil misl e ghunchah aate hi fasl e bahaar,
Aaise mein sabar aazma hai mujhko tera intezaar,

Aa gaya hai barishon mein bheeg kar tujh par nikhaar,
Hai nehaayat rooh parwar teri zulf e mushkbaar,

Jalwah gaah e husn e fitrat hai yeh dilkash sabzah zaar,
Sab se badh kar meri nazron mein hai lekin husn e yaar,

Zindagi bekaif hai mere liye tere baghair,
gulshan e hasti mein mere tere dam se hai bahaar,

Hai judaai ka tasavvur aise mein sohaan e rooh,
aa bhi ja jaan e Ghazal mausam hai behad khushgawaar,

Ghunchah o gul hans rahe hain ro raha hai dil mera,
Imtehaan leti hai mera gardish e lail o nahaar,

Saaz e fitrat par ghazalkhwan hai bahaar e jaan fiza,
Kaif o sarmasti se hain sarshaar BARQI barg o baar.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 382