|
* Gale woh Toot ke mujhse mila mila na mila *
Gale woh Toot ke mujhse mila mila na mila,
Mera yeh chaak garebaa’n hiya hiya na hiya,
Gaya hai waadae farad hoo’n muntazir uska,
Yeh kam usne dobarah kiya kiya na kiya,
Umeedo beem ki ik raushni hai aankho’n mei’n,
Ghame hayat ka mara jiya jiya na jiya,
Kiya hai mai’n ne to yu’n arze muddua us se,
Mila wafao’n ka meri diya diya na diya,
Jise samajhta tha aabe hayat zahar tha woh,
Yeh zahar hatho’n se usne piya piya na piya,
Tha uska tuye sukhan kis taraf nahi maloom,
Phir usne koi ishara kiya kiya na kiya,
Jo le raha tha woh “Barqi” larazte hontho’n se,
Woh nam usne dobara liya liya na liya.
|
|