donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* DEKHE HAIN ZINDAGI KE KAII MAIN NE RANG *
DEKHE HAIN ZINDAGI KE KAII MAIN NE RANG
DHANG DILKASH HAR EK RANG SE HAI DOSTI KA RANG
PAIDA KARI DILON MEIN MOHABBAT KI WOH UMANG
RAH JAEIN LOG DEKH KE HUSN E SULOOK DANG
TASKHIR E QALB SE NAHIN BEHTAR KOII AMAL
TALQEEN E MEHR O LUTF SE ACHHCHHI NAHIN HAI JANG
DUNIYA HAI RAZM GAAH SANBHAL KAR RAHO
YAHAAN SHEESHE KE GHAR MEIN RAH KE NA PHENKO KISI PE SANG
MAIN AMN O AASHTI KA JAHAAN MEIN NAQEEB HOON
KYON ARSA E HAYAT MERA KAR RAHE HO TANG
HAI DOR ZINDAGI KI TUMHARE HI HAATH MEIN
UDTI HO AASMAN PE JAISE KOII PATANG
UNWAAN MERI GHAZAL KA HAI BARQI SUROOD E ISHQ
TUM BAZM E DIL SAJAO MAIN AATA HOON LE KE CHANG  
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 418