donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Maloom kya tha apna dikhayegi rang woh, *
Mera junoon e shauq kidhar le ke aa gayaa,
Manzil pe mujhko azm e safar le ke aa gayaa,

Maloom kya tha apna dikhayegi rang woh,
Apni balaa e jaaN ko maiN ghar le ke aa gayaa,

Teer e nazar ka sah na saka us ke waar jab,
Main saath apne dard e jigar le ke aa gayaa,

Tooti kamand e shauq meri haaye kis jagah,
Main dekhta raha woh samar le ke aa gayaa,

Is baar mutma'in tha ki aayega woh zaroor,
Itne meiN namah bar yeh khabar le ke aa gayaa,

Us ka na intezaar karo woh a aayega,
Laana mujhe guhar tha sifar le ke aa gayaa,

Gul ho gaya chiraagh e tamanna shab e firaaq,
Mian khaali haath deedah e tar le ke aa gayaa,

Mujh ko bahut aziz hai Barqi woh is liye,
Ilzaam uska apne main sar le ke aa gayaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 408