donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BA KHUSHI HUM KO GHAR BASANA HAI *
BA KHUSHI HUM KO GHAR BASANA HAI
KHAEIN GE SAB HAMEIN KAMANA HAI

RAZMGAAH E HAYAT HAI DUNIYA
“ZAKHM KHA KAR BHI MUSKURANA HAI”

HAI YEH ZILL E ILAHI KA FARMAN
JASHN HAR HAAL MEIN MANANA HAI

FARZ HAI UN KI NAAZ BARDARI
UN KO APNA AGAR BANANA HA

AAJ HAI KAL RAHE RAHE NA RAHE
ZINDAGANI KA KYA THIKANA HAI

DARS E IBRAT HAI ZINDAGI MERI
DUDHMAN E JAAN MERA ZAMAN HAI

WOH SAMAJHTA HAI MUJH KO HARF E GHALAT
LAUH E DIL SE JISE MITANA HAI

WOH BANATA HAI MUJH KO APNA HADAF
JO SATANE KA SHAKHSANA HAI

SAKHT JANI KA IMTEHAAN LE KAR
SABR USE MERA AAZMANA HAI

US KE TEER E NAZAR KO DEKHOON GA
DEEDA O DIL KO AAZMANA HAI

GHAR BANATA TO HOON MAGAR BARQI
BARQ KO ZID HAI US KO DHANA HAI 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 412