donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hai uski fitrat mein bewafaaii woh jab bhi milta hai be rukhi se, *
Hai uski fitrat mein bewafaaii woh jab bhi milta hai be rukhi se,
Pasand hai usko khud numaaii lagao usko nahin kisi se,

Woh baitha rahta hai yunhi gum sum main dekhta hoon yeh bebasi se,
Kahoon to kise kahoon yeh us se raha kare woh hansi khushi se,

Woh pahle aisa kabhi nahin thaa na jane kya ho gaya hai usko,
Kisi ne kuchh kah diya hai shayad woh mujh se hai badgumaan tabhi se,

Beghair uske bujha bujha hai bahaar ka khushgawar manzar,
Gaya hai naraz ho ke jab se woh mere gulzar e zindagi se,

Sab usko hairat se dekhte hain yeh haal hai uska dars e ibrat,
Yahi hai anjam e ishq BARQI to baaz aaye ham aashiqi se,

Wahi samajhte hain qadr o qeemat jahaan mein aijaz e fikr o fan ki,
Jo asr e haazir mein bahrah war hain shaoor o faizan e aagahi se.
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 435