donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kaif o masti se haiN sarshaar tumhaari aankheiN, *
Kaif o masti se haiN sarshaar tumhaari aankheiN,
Deti haiN daawat e deedaar tumhari aankheiN,

Ho gaii salb usi din se meri taqat e sabr,
Mujh se jis din se hueiN chaar tumhari aankheiN,

un se roshan hai meri shama e shabistaan e hayaat,
haiN meri munis o ghamkhwar tumhari aanheiN,

Dekhta rahta hooN maiN saakit o saamit un ko,
Hoti haiN jab kabhi khoonbaar tumhari aankheiN,

Deti haiN izn e safar mujh ko bayak jumbish-e-chashm,
HaiN mere waqt ki raftaar tumhaari aankheiN,

MaiN kahoon ya na kahooN ahl e nazar par hai ayaaN,
Hasrat e dil ka haiN izhaar tumhari aankheiN

Khol kar jalwah gah e naaz meiN dar wazah e dil,
Dil pe karti haiN mere waar tumhari aankheiN,

Lazzat e kaam o dahan sab ke liye haiN yaksaaN,
Ba'is e garmi  e baazaar tumhari aankheiN,

Aatash e rask meiN jal bhun ke huii hai andhi,
Dekh kar nargis e bimaar tumhaari aankheiN,

Rooh farsa hai judaaii ka tasawwur Barqi,
Karti haiN khwab se bedaar tumhari aankheiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 393