donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Terii baate’n hii sunaane aaye, *
Terii baate’n hii sunaane aaye,
dost bhii dil hii dukhaane aaye,
phuul khilte hai’n to ham sochte hai’n,
tere aane ke zamaane aaye,
aisii kuchh chup sii lagii hai jaise,
ham tujhe haal sunaane aaye,
ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-Gham,
kaun ye bojh uThaane aaye,
ajanbii dost hame’n dekh ke ham,
kuchh tujhe yaad dilaane aaye,
dil DhaRhaktaa hai safar ke ha’ngaam,
kaash phir ko’ii bulaane aaye,
ab to rone se bhii dil dukhtaa hai,
shaayad ab hosh Thikaane aaye,
kyaa kahii’n phir ko’ii bastii ujRhii,
log kyuu’n jashn manaane aaye,
so raho maut ke pahluu mei’n “Faraz”,
nii’nd kis vaqt na jaane aaye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 431