donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa, *
Ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa,
aa phir se mujhe chhoRh ke jaane ke liye aa,
(ranjish : animosity)
pahle se maraasim na sahii phir bhii kabhii tau,
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa,
(maraasim : relationship; rasm-o-rahe duniyaa : manners, traditions of the world)
kis kis ko bataaye’nge judaa’ii kaa sabab ham,
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa,
kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh,
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa,
(pindaar-e-muhabbat : love’s pride)
ek umr se huu’n lazzat-e-giriyaa se bhii mahruum,
ai raahat-e-jaa’n mujh ko rulaane ke liye aa,
( lazzat-e-giriyaa : joy of crying; mahruum : devoid; raahat-e-jaa’n : comfort of the soul)
ab tak dil-e-Khush-feh’m ko tujh se hai’n ummiide’n,
ye aaKhrii shamme’n bhii bujhaane ke liye aa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 425