donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil bahaltaa hai kahaa’n anjum-o-maahtaab se bhii, *
Dil bahaltaa hai kahaa’n anjum-o-maahtaab se bhii,
ab to ham log gaye deedaa-e-bekhwaab se bhii,
ro paRhaa hoo’n to ko’ii baat hii aisii hogii,
mai’n ke waaqif thaa tere hijr ke aadaab se bhii,
kuch to us aa’nkh kaa shaivaa hai jafaa ho jaanaa,
aur kuch bhuul huii hai dil-e-betaab se bhii,
ai samandar kii havaa ! teraa karam bhii maaluum,
pyaas saahil kii to bujhtii nahii’n sailaab se bhii,
kuch to us husn ko jaane hai zamanaa saara,
aur kuch baat chalii hai mere ehbaab se bhii.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 452