donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kyaa aise kam-suKhan se ko’ii guftaguu kare, *
kyaa aise kam-suKhan se ko’ii guftaguu kare,
jo mustaqil sukuut se dil ko lahuu kare,
ab tau hame’n bhi tark-e-maraasim kaa dukh nahii’n,
par dil ye chaaHtaa hai ke aaghaaz tuu kare,
tere baGhair
Khud ko ga’nwaa ke kaun terii justujuu kare,
ab tau ye aarzuu hai ke wo zakhm khaa’iye,
taa-zindagi ye dil na ko’ii aarzuu kare,
tujh ko bhulaa ke dil hai wo sharminda-e-nazar,
ab ko’ii hadisaa hi tere ru-ba-ruu kare,
chup chaap apni aag mei’n jalte raho “Faraz”,
duniyaa tau Gharz-e-haal se be-aabruu kare.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 392