donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai’n ke phir dasht-e-rafaaqat kaa safar kar aayaa, *
Mai’n ke phir dasht-e-rafaaqat kaa safar kar aayaa,
kyaa kahuu’n kitnii aziiyat se guzar kar aayaa,
har ko’ii ham se milaa umr-e-gurezaa’n ki tarah,
vo to jis dil se bhii guzraa vahii’n ghar kar aayaa,
tum ne ek sang uthaayaa mere aaiine par,
aur har shaKhs ko mai’n aaiina-gar kar aayaa,
mujhse kyaa puuchte ho shah’r-e-vafaa kaisaa hai,
aise lagtaa hai saliibo’n se utar kar aayaa,
sirf chehre hii agar kurb ke aaiine hai’n,
kyu’n na mai’n dil kaa lahuu aa’nkh mei’n bhar kar aayaa,
ab jo is shah’r kii taqdiir ho, mai’n to logo’n
dar-o-diivaar pe hasrat ki nazar kar aayaa,
ham to samjhe the muhabbat kaa payambar hai “Faraz”,
aur vo be-meh’r bhii to hai’n, hunar kar aayaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 430