donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tujhse bicchaRh ke ham bhii muqaddar ke ho gaye, *
Tujhse bicchaRh ke ham bhii muqaddar ke ho gaye,
phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye,
phir yu’n hu’aa ke Ghair ko dil se lagaa liyaa,
andar vo nafrate’n thii’n ke baahar ke ho gaye,
kyaa log the ke jaan se baRh kar aziiz the,
ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye,
ai yaad-e-yaar tujh se kare’n kyaa shikaayate’n,
ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye,
samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-e-shehar,
phir raftaa raftaa Khud usii kaafir ke ho gaye,
ab ke na intizaar kare’n chaaragar kaa ham,
ab ke gaye to kuu-e-sitamgar ke ho gaye,
rote ho ek jaziira-e-jaa’n ko “Faraz” tum,
dekho to kitne shah’r samandar ke ho gaye.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 472