donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaayenge ham, *
Ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaayenge ham, 
Chaaraagar royenge aur ghamkhvaar ban jaayenge ham, 
Ham sar-e-chaak-e-vafaa hai'n aur teraa dast-e-hunar, 
Jo banaa degaa hamen ai yaar ban jaayenge ham 
Kyaa Khabar thi ai nigaar-e-sher tere ishq me'n, 
Dilbaraan-e-shahar ke dildaar ban jaayenge ham ,
Sakht jaan hai'n par hamaari ustavaari par na jaa, 
Aise tuutenge teraa iqaraar ban jaayenge ham ,
Aur kuchh din baithane do kuu-e-jaanaa'n me'n hame'n, 
Raftaa raftaa saayaa-e-divaar ban jaayenge ham ,
Is qadar aasaan na hogi har kisi se dosti, 
Aashnaai me'n teraa mayaar ban jaayenge ham, 
Mir-o-Gaalib kyaa ke ban paaye nahi'n faiz-o-firaaq ,
Zam ye thaa ruumi-o-ataar ban jaayenge ham, 
Dekhane me'n shaakh-e-gul lagte hai'n lekin dekhanaa. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 415