donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye kyaa ke sab se bayaa'n dil ki haalate'n karni, *
Ye kyaa ke sab se bayaa'n dil ki haalate'n karni,
`Faraz` tujh ko na aai'n muhabbate'n karni,
Ye qurb kyaa hai ke tuu saamne hai aur hame'n,
Shumaar abhi se judaai ki sa`ate'n karni,
Koi khudaa ho ke patthar jise bhi ham chaahe'n,
Tamaam umr usi ki ibaadate'n karni,
Sab apne apnee qarine se muntazir us ke,
Kisi ko shukr kisi ko shikaayate'n karni,
Ham apne dil se hai'n majabuur aur logo'n ko,
Zaraa si baat pe barpaa qayaamate'n karni,
Mile'n jab un se to mubaham si guftaguu karnaa,
Phir apne aap se sau-sau vazaahate'n karni,
Ye log kaise magar dushmani nibhaate'n hai'n,
Hami'n ko raas na aai'n muhabbate'n karni,
Kabhi `faraz` naye mausamo'n me'n ro denaa,
Kabhi talaash puraani raqaabate'n karni.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 398