donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wafaa ke bhes me'n koi raqib-e-shahar bhi hai, *
Wafaa ke bhes me'n koi raqib-e-shahar bhi hai,
Hazar! ke shahar ke qaatil tabib-e-shahar bhi hai,
Vahi sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaro'n taraf,
Jo mere baKht mie'n thaa ab nasib-e-shahar bhi hai,
Udhar ki aag idhar bhi pahuNch na jaaye kahi'n,
Havaa bhi tez hai jangal qarib-e-shahar bhi hai,
Ab us ke hijr mie'n rote hai'n us ke ghaayal bhi,
Khabar na thi ke vo zaalim habib-e-shahar bhi hai,
Ye raaz naaraa-e-mansuur hi se ham pe Khulaa,
Ke chuub-e-mimbar-e-masjid salib-e-shahar bhi hai
KaDi hai jang ke ab ke muqaabile pe `Faraz`,
Amir-e-shahar bhi hai aur khatib-e-shahar bhi hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 429