|
* Is qadar musal sal thi'n shiddate'n judaai ki, *
Is qadar musal sal thi'n shiddate'n judaai ki,
Aaj pahli baar mai'n ne us se bevafaai ki,
Varna ab talak yuuN thaa Khvaahisho'n ki baarish mei'n,
Yaa to TuuT kar royaa yaa Ghazal saraai ki,
Taj diyaa thaa kal jin ko ham ne teri chaahat me'n,
Aaj un se majbuuran taazaa aashanaai ki,
Ho chalaa thaa jab mujh ko iKhtilaaf apne se,
Tuune kis ghaderi zaalim meri hamnavaai ki,
Tanz-o-taanaa-o-tohamat sab hunar hai'n naaseh ke ,
Aap se ko_i puuchhe ham ne kyaa buraai ki,
Phir qafas men shor uTThaa qaidiyon kaa aur sayyaad,
Dekhanaa uDaa degaa phir Khabar rihaai ki.
|
|